ummid kya thi aur wo kya de gaya mujhe
ummīd kyā thī aur vo kyā de gayā mujhe
kuchh apnā kuchh mirā hī diyā de gayā mujhe
ye vaqt bhī ajiib hai jo vaqfe vaqfe se
andāz sochne kā nayā de gayā mujhe
is ḳhush-mizāj dost ke qurbān jā.iye
har zaḳhm muskurā ke nayā de gayā mujhe
jo merā ham-safar thā baḌā hī ajiib thā
apnī jagah se uTh ke jagah de gayā mujhe
shā.ir nahīñ huuñ phir bhī maiñ shā.ir-navāz huuñ
andāz-e-shā.irāna ḳhudā de gayā mujhe
jab talḳhiyāñ hayāt key had se baḌhīñ 'navāz'
tab jiinā ik alag se maza de gayā mujhe
ummid kya thi aur wo kya de gaya mujhe
kuchh apna kuchh mera hi diya de gaya mujhe
ye waqt bhi ajib hai jo waqfe waqfe se
andaz sochne ka naya de gaya mujhe
is KHush-mizaj dost ke qurban jaiye
har zaKHm muskura ke naya de gaya mujhe
jo mera ham-safar tha baDa hi ajib tha
apni jagah se uTh ke jagah de gaya mujhe
shair nahin hun phir bhi main shair-nawaz hun
andaz-e-shairana KHuda de gaya mujhe
jab talKHiyan hayat key had se baDhin 'nawaz'
tab jina ek alag se maza de gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.