ummid unki kam hi sahi aarzu to hai
ummīd un kī kam hī sahī aarzū to hai
manzil hameñ mile na mile justujū to hai
amrit kī aarzū ne kaho tum ko kyā diyā
ham log zahr-nosh sahī aabrū to hai
duniyā meñ ham kuchh aise tahī-dast bhī nahīñ
ajdād kā hamārī ragoñ meñ lahū to hai
ahbāb ko to maslahat-andeshiyoñ se kaam
ā.īna sāf-go hī sahī rū-ba-rū to hai
dīvāna pā-shikasta o shorīda-sar sahī
lekin ba-pās-e-husn-e-vafā surḳh-rū to hai
ai dost aaj kyoñ haiñ ye vahshat-navāziyāñ
haañ ham nahīñ haiñ sāhib-e-idrāk tū to hai
'tālib' ye kyā zarūr ki ho zikr-e-ḳhair hī
yāroñ ke darmiyān tirī guftugū to hai
ummid un ki kam hi sahi aarzu to hai
manzil hamein mile na mile justuju to hai
amrit ki aarzu ne kaho tum ko kya diya
hum log zahr-nosh sahi aabru to hai
duniya mein hum kuchh aise tahi-dast bhi nahin
ajdad ka hamari ragon mein lahu to hai
ahbab ko to maslahat-andeshiyon se kaam
aaina saf-go hi sahi ru-ba-ru to hai
diwana pa-shikasta o shorida-sar sahi
lekin ba-pas-e-husn-e-wafa surKH-ru to hai
ai dost aaj kyon hain ye wahshat-nawaziyan
han hum nahin hain sahib-e-idrak tu to hai
'talib' ye kya zarur ki ho zikr-e-KHair hi
yaron ke darmiyan teri guftugu to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.