ummidon ke panchhi ke par niklenge
ummīdoñ ke panchhī ke par nikleñge
mere bachche mujh se behtar nikleñge
laxman-rekhā bhī āḳhir kyā kar legī
saare rāvan ghar ke andar nikleñge
dil to station ke raste chalā gayā
paañv hamāre thoḌā so kar nikleñge
achchhī achchhī bāteñ to sab karte haiñ
in meñ se hī bad se bad-tar nikleñge
bāzāroñ ke dastūroñ se vāqif haiñ
saare aañsū andar Dhak kar nikleñge
dil vaale to aahaT par chal dete haiñ
aql ke bande soch-samajh kar nikleñge
ummidon ke panchhi ke par niklenge
mere bachche mujh se behtar niklenge
laxman-rekha bhi aaKHir kya kar legi
sare rawan ghar ke andar niklenge
dil to station ke raste chala gaya
panw hamare thoDa so kar niklenge
achchhi achchhi baaten to sab karte hain
in mein se hi bad se bad-tar niklenge
bazaron ke dasturon se waqif hain
sare aansu andar Dhak kar niklenge
dil wale to aahaT par chal dete hain
aql ke bande soch-samajh kar niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.