umr bhar ba-asani bar-e-gham uThane se
umr bhar ba-āsānī bār-e-ġham uThāne se
un pe e'tibār aayā ḳhud ko āzmāne se
is hujūm meñ tujh ko kyā ḳhabar huī hogī
kis ko kyā ta.alluq thā tere āstāne se
yuuñ salām aane par ik ḳhalish sī hotī hai
kaash ham ko bulvāte vo kisī bahāne se
haañ to un kī ḳhātir se kyuuñ tarāvasheñ karte
jis tarah vahāñ guzrī kah ga.e zamāne se
jab bhī bazm-e-ālam meñ koī fitna uThtā hai
yā tumhārī mahfil se yā ġharīb-ḳhāne se
silsila yahī hogā ruḳh badalte jā.eñge
maiñ tirī haqīqat se tū mire fasāne se
umr bhar ba-asani bar-e-gham uThane se
un pe e'tibar aaya KHud ko aazmane se
is hujum mein tujh ko kya KHabar hui hogi
kis ko kya talluq tha tere aastane se
yun salam aane par ek KHalish si hoti hai
kash hum ko bulwate wo kisi bahane se
han to un ki KHatir se kyun tarawashen karte
jis tarah wahan guzri kah gae zamane se
jab bhi bazm-e-alam mein koi fitna uThta hai
ya tumhaari mahfil se ya gharib-KHane se
silsila yahi hoga ruKH badalte jaenge
main teri haqiqat se tu mere fasane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.