umr bhar chalta rahun ye hadisa rahne diya
umr bhar chaltā rahūñ ye hādisa rahne diyā
us ne manzil chhīn lī aur rāsta rahne diyā
is tarah us ne kiyā bīmārī-e-ġham kā ilaaj
achchhā hone par bhī mohtāj-e-davā rahne diyā
jab ga.e the merī rāhoñ meñ jalā kar tum charāġh
āñdhiy.oñ ko kis liye mujh se ḳhafā rahne diyā
chāhe jhūTā hī sahī us ne dilāsa to diyā
kam se kam jiine kā mere silsila rahne diyā
thā haqīqat par fidā sone se bhī Dartā rahā
umr bhar āñkhoñ ko ḳhvāboñ se judā rahne diyā
yuuñ kiyā mujh par sitam āḳhir terī pahchān ne
merī hī pahchān ko mujh se judā rahne diyā
ḳhud se jab andāz milne kā nahīñ thā hausla
aa.ina chehre ke aage kyoñ rakhā rahne diyā
umr bhar chalta rahun ye hadisa rahne diya
us ne manzil chhin li aur rasta rahne diya
is tarah us ne kiya bimari-e-gham ka ilaj
achchha hone par bhi mohtaj-e-dawa rahne diya
jab gae the meri rahon mein jala kar tum charagh
aandhiyon ko kis liye mujh se KHafa rahne diya
chahe jhuTa hi sahi us ne dilasa to diya
kam se kam jine ka mere silsila rahne diya
tha haqiqat par fida sone se bhi Darta raha
umr bhar aankhon ko KHwabon se juda rahne diya
yun kiya mujh par sitam aaKHir teri pahchan ne
meri hi pahchan ko mujh se juda rahne diya
KHud se jab andaz milne ka nahin tha hausla
aaina chehre ke aage kyon rakha rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.