Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr-bhar dard ke sannaTon mein chalta hoga

Muneer Saifi

umr-bhar dard ke sannaTon mein chalta hoga

Muneer Saifi

MORE BYMuneer Saifi

    umr-bhar dard ke sannāToñ meñ chaltā hogā

    paar utrūñgā samundar ke to sahrā hogā

    uñgliyāñ merī havāoñ girah kholeñgī

    pāniyoñ par bhī mirā naqsh-e-kaf-e-pā hogā

    shīsha-e-dasht-e-talab chhūT gayā hāthoñ se

    har taraf bikhrā huā ḳhvāb chehrā hogā

    ḳhushk hoñToñ pe hai barfīlī havāoñ namī

    ġham sāvan kahīñ daldal pe barastā hogā

    reg-zāroñ meñ hai ye kis ke lahū ḳhushbū

    mujh se pahle koī is raah se guzrā hogā

    us ke chehre pe haiñ sadiyoñ ke safar shikneñ

    mere purkhoñ kahānī vo sunātā hogā

    kachchī nīñdoñ se jagāo na koī 'saifī' ko

    kitnī sadiyoñ thakan oḌh ke soyā hogā

    umr-bhar dard ke sannaTon mein chalta hoga

    par utrunga samundar ke to sahra hoga

    ungliyan meri hawaon ki girah kholengi

    paniyon par bhi mera naqsh-e-kaf-e-pa hoga

    shisha-e-dasht-e-talab chhuT gaya hathon se

    har taraf bikhra hua KHwab ka chehra hoga

    KHushk honTon pe hai barfili hawaon ki nami

    gham ka sawan kahin daldal pe barasta hoga

    reg-zaron mein hai ye kis ke lahu ki KHushbu

    mujh se pahle koi is rah se guzra hoga

    us ke chehre pe hain sadiyon ke safar ki shiknen

    mere purkhon ki kahani wo sunata hoga

    kachchi nindon se jagao na koi 'saifi' ko

    kitni sadiyon ki thakan oDh ke soya hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now