umr bhar Dolti yaadon ki ziya se khele
'umr bhar Doltī yādoñ kī ziyā se khele
sham'-e-ummīd liye tez havā se khele
ham ne har tarah se dil ḳhuun kiyā hai apnā
ātish-e-mai se kabhī jurm-e-vafā se khele
tū vo ik aag jise haath lagā.e na bane
dil vo dīvāna ki is sail-e-balā se khele
uḌ gayā rang ruḳh-e-mausam-e-gul kā kyā kyā
ḳhushk patte jo kabhī bād-e-sabā se khele
kis ne zanjīr kiyā abr-e-ravāñ ko shafqat
fasl-e-gul aa.ī to ham apnī qabā se khele
'umr bhar Dolti yaadon ki ziya se khele
sham'-e-ummid liye tez hawa se khele
hum ne har tarah se dil KHun kiya hai apna
aatish-e-mai se kabhi jurm-e-wafa se khele
tu wo ek aag jise hath lagae na bane
dil wo diwana ki is sail-e-bala se khele
uD gaya rang ruKH-e-mausam-e-gul ka kya kya
KHushk patte jo kabhi baad-e-saba se khele
kis ne zanjir kiya abr-e-rawan ko shafqat
fasl-e-gul aai to hum apni qaba se khele
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 524)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.