umr bhar ek hi kirdar se Dar lagta hai
umr bhar ek hī kirdār se Dar lagtā hai
aadmī huuñ mujhe takrār se Dar lagtā hai
aañkh thak jaatī hai chehroñ kā ta.āqub karte
tez chaltā huuñ to raftār se Dar lagtā hai
chaukhaTe bechne vaale tirī kun ras āvāz
khīñch bhī laa.e to bāzār se Dar lagtā hai
phir koī zaḳhm ki kuchh din hameñ pur-kār rakhe
ishq ko fursat-e-be-kār se Dar lagtā hai
kaun kis vaqt badal jaa.e ḳhudā jāntā hai
ḳhalq aur ḳhalq ke me.aar se Dar lagtā hai
dil hai malbe se churāyā huā zevar 'tālib'
bik bhī jaa.e to ḳharīdār se Dar lagtā hai
umr bhar ek hi kirdar se Dar lagta hai
aadmi hun mujhe takrar se Dar lagta hai
aankh thak jati hai chehron ka taaqub karte
tez chalta hun to raftar se Dar lagta hai
chaukhaTe bechne wale teri kun ras aawaz
khinch bhi lae to bazar se Dar lagta hai
phir koi zaKHm ki kuchh din hamein pur-kar rakhe
ishq ko fursat-e-be-kar se Dar lagta hai
kaun kis waqt badal jae KHuda jaanta hai
KHalq aur KHalq ke mear se Dar lagta hai
dil hai malbe se churaya hua zewar 'talib'
bik bhi jae to KHaridar se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.