umr-bhar gham se ham-aghosh rahe hum tab’an
'umr-bhar ġham se ham-āġhosh rahe ham tab’an
be-irāda kabhī hañsnā bhī paḌā maslahatan
kyā kiyā tum ne ki paimān-e-vafā toḌ diyā
dil sā ik shahr fanā ho gayā ānan-fānan
kīna-fitrat hī na the mujh ko miTāne vaale
un meñ kuchh log to mā'sūm bhī the tum maslan
is tavaqqo' meñ ki shāyad koī muḌ kar dekhe
bārhā ruk ke chale chal ke ruke ham qasdan
dil bahar-hāl na milnā thā kisī se na milā
saath baiThe bhī zamāne se mile bhī rasman
vo nahīñ haiñ to kisī taur nahīñ dil ko qarār
zindagī vaise to mā'mūl pe hai taqrīban
ziist ik bojh rahī un se bichhaḌ kar 'afzal'
ye alag baat ki jiine ko jiye majbūran
'umr-bhar gham se ham-aghosh rahe hum tab’an
be-irada kabhi hansna bhi paDa maslahatan
kya kiya tum ne ki paiman-e-wafa toD diya
dil sa ek shahr fana ho gaya aanan-fanan
kina-fitrat hi na the mujh ko miTane wale
un mein kuchh log to ma'sum bhi the tum maslan
is tawaqqo' mein ki shayad koi muD kar dekhe
barha ruk ke chale chal ke ruke hum qasdan
dil bahar-haal na milna tha kisi se na mila
sath baiThe bhi zamane se mile bhi rasman
wo nahin hain to kisi taur nahin dil ko qarar
zindagi waise to ma'mul pe hai taqriban
zist ek bojh rahi un se bichhaD kar 'afzal'
ye alag baat ki jine ko jiye majburan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.