umr-bhar justuju rahegi kya
umr-bhar justujū rahegī kyā
aarzū aarzū rahegī kyā
nahīñ honā mukālima tujh se
ḳhud se hī guftugū rahegī kyā
raat ai raat sirf raat kī raat
mere pahlū meñ tū rahegī kyā
shor-e-ḳhāmoshī kam nahīñ honā
rāt-bhar hāv-hū rahegī kyā
tū jo mere gale bhī lag jaa.e
ruuh se ruuh chhū rahegī kyā
ḳhud ko kamre se gar nikāl duuñ maiñ
koī shai fāltū rahegī kyā
yuuñ bhī tazlīl kar ke auroñ kī
ḳhud tirī aabrū rahegī kyā
to dobāra sahar nahīñ honī
tīrgī chār-sū rahegī kyā
aisī retīlī zamīn meñ 'sāhir'
mujh ko tāb-e-numū rahegī kyā
umr-bhar justuju rahegi kya
aarzu aarzu rahegi kya
nahin hona mukalima tujh se
KHud se hi guftugu rahegi kya
raat ai raat sirf raat ki raat
mere pahlu mein tu rahegi kya
shor-e-KHamoshi kam nahin hona
raat-bhar haw-hu rahegi kya
tu jo mere gale bhi lag jae
ruh se ruh chhu rahegi kya
KHud ko kamre se gar nikal dun main
koi shai faltu rahegi kya
yun bhi tazlil kar ke auron ki
KHud teri aabru rahegi kya
to dobara sahar nahin honi
tirgi chaar-su rahegi kya
aisi retili zamin mein 'sahir'
mujh ko tab-e-numu rahegi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.