umr-bhar ka yaad hai bas ek afsana mujhe
umr-bhar kā yaad hai bas ek afsāna mujhe
maiñ ne pahchānā jise us ne na pahchānā mujhe
anjuman kī anjuman mujh se muḳhātab ho ga.ī
aap ne dekhā thā shāyad be-niyāzāna mujhe
pahle dīvāna kahā karte the lekin āj-kal
log kahte haiñ sarāpā terā afsāna mujhe
gaahe gaahe zikr kar lene se kyā yaad aa.egā
yaad hī rakhnā mujhe yā bhuul hī jaanā mujhe
ḳhvāb hī dekhā hai lekin haa.e kis lazzat kā ḳhvāb
vo mire ghar terā aanā aur bahlānā mujhe
umr-bhar ka yaad hai bas ek afsana mujhe
main ne pahchana jise us ne na pahchana mujhe
anjuman ki anjuman mujh se muKHatab ho gai
aap ne dekha tha shayad be-niyazana mujhe
pahle diwana kaha karte the lekin aaj-kal
log kahte hain sarapa tera afsana mujhe
gahe gahe zikr kar lene se kya yaad aaega
yaad hi rakhna mujhe ya bhul hi jaana mujhe
KHwab hi dekha hai lekin hae kis lazzat ka KHwab
wo mere ghar tera aana aur bahlana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.