umr bhar kawish-e-izhaar ne sone na diya
umr bhar kāvish-e-iz.hār ne sone na diyā
harf-e-nā-gufta ke āzār ne sone na diyā
dasht kī vus.at-e-be-qaid meñ kyā niiñd aatī
ghar kī qaid-e-dar-o-dīvār ne sone na diyā
thak ke so rahne ko raste meñ Thikāne the bahut
havas-e-sāya-e-dīvār ne sone na diyā
kabhī iqrār kī lazzat ne jagā.e rakkhā
kabhī añdesha-e-inkār ne sone na diyā
ho ga.ī sub.h badalte rahe pahlū shab bhar
ek karvaT pe dil-e-zār ne sone na diyā
umr bhar kawish-e-izhaar ne sone na diya
harf-e-na-gufta ke aazar ne sone na diya
dasht ki wusat-e-be-qaid mein kya nind aati
ghar ki qaid-e-dar-o-diwar ne sone na diya
thak ke so rahne ko raste mein Thikane the bahut
hawas-e-saya-e-diwar ne sone na diya
kabhi iqrar ki lazzat ne jagae rakkha
kabhi andesha-e-inkar ne sone na diya
ho gai subh badalte rahe pahlu shab bhar
ek karwaT pe dil-e-zar ne sone na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.