umr-bhar KHwab-e-mohabbat se na bedar hue
'umr-bhar ḳhvāb-e-mohabbat se na bedār hue
isī kirdār se ham sāhab-e-kirdār hue
kabhī kāñToñ kī jarāhat se bhī ārām milā
lāla-o-gul bhī kabhī bā.is-e-āzār hue
ādmiyyat ke ḳhad-o-ḳhāl ko zīnat na milī
saare aa.iin faqat naqsh-ba-dīvār hue
haa.e vo husn kisī ne bhī na dekhā jis ko
haa.e vo raaz jo rusvā sar-e-bāzār hue
kitne dushman the zamāne meñ hamāre lekin
apnī hī hastī se ham barsar-e-paikār hue
dosto ek tumhārī bhī riyā-kārī se
ham ko honā thā ḳhabar-dār ḳhabar-dār hue
nauha-e-zāt kā ye bhī to ik andāz huā
ashk āñkhoñ meñ nahīñ aa.e to ash’ār hue
baat kuchh yuuñ hai ki himmat hī na haarī ham ne
mere pindār-e-ḳhudī par to bahut vaar hue
rang-o-bū paañv kī zanjīr hue jaate haiñ
jā nasīm-e-saharī ham to giraftār hue
ham ki sar-garm-e-safar the rahe sar-garm-e-safar
marhale to kabhī āsāñ kabhī dushvār hue
ab to nā-qadrī-e-arbāb-e-hunar hai ai 'lais'
aap kyā soch ke is 'ahd meñ fankār hue
'umr-bhar KHwab-e-mohabbat se na bedar hue
isi kirdar se hum sahab-e-kirdar hue
kabhi kanTon ki jarahat se bhi aaram mila
lala-o-gul bhi kabhi bais-e-azar hue
aadmiyyat ke KHad-o-KHal ko zinat na mili
sare aain faqat naqsh-ba-diwar hue
hae wo husn kisi ne bhi na dekha jis ko
hae wo raaz jo ruswa sar-e-bazar hue
kitne dushman the zamane mein hamare lekin
apni hi hasti se hum barsar-e-paikar hue
dosto ek tumhaari bhi riya-kari se
hum ko hona tha KHabar-dar KHabar-dar hue
nauha-e-zat ka ye bhi to ek andaz hua
ashk aankhon mein nahin aae to ash’ar hue
baat kuchh yun hai ki himmat hi na haari hum ne
mere pindar-e-KHudi par to bahut war hue
rang-o-bu panw ki zanjir hue jate hain
ja nasim-e-sahari hum to giraftar hue
hum ki sar-garm-e-safar the rahe sar-garm-e-safar
marhale to kabhi aasan kabhi dushwar hue
ab to na-qadri-e-arbab-e-hunar hai ai 'lais'
aap kya soch ke is 'ahd mein fankar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.