umr-bhar kis ne rawa rasm-e-wafa rakkhi hai
'umr-bhar kis ne ravā rasm-e-vafā rakkhī hai
tāq-e-nisyāñ meñ har ik dil kī sadā rakkhī hai
kal jise jaate hue chheḌ diyā thā tū ne
vo kalī aaj kahāñ bād-e-sabā rakkhī hai
tū ne jo baat kahī thī vo hameñ yaad nahīñ
terī tasvīr to kamre meñ lagā rakkhī hai
be-niyāzāna koī chhoḌ gayā duniyā ko
aur yahāñ aas ke dāman meñ du'ā rakkhī hai
haq ko haqdār se pahle hī uchak lete haiñ
is tarah ham ne baġhāvat kī binā rakkhī hai
ham to kahte haiñ use aaj bhī rahmān-o-rahīm
jis ne har haal meñ jiine kī sazā rakkhī hai
'umr-bhar kis ne rawa rasm-e-wafa rakkhi hai
taq-e-nisyan mein har ek dil ki sada rakkhi hai
kal jise jate hue chheD diya tha tu ne
wo kali aaj kahan baad-e-saba rakkhi hai
tu ne jo baat kahi thi wo hamein yaad nahin
teri taswir to kamre mein laga rakkhi hai
be-niyazana koi chhoD gaya duniya ko
aur yahan aas ke daman mein du'a rakkhi hai
haq ko haqdar se pahle hi uchak lete hain
is tarah hum ne baghawat ki bina rakkhi hai
hum to kahte hain use aaj bhi rahman-o-rahim
jis ne har haal mein jine ki saza rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.