umr bhar parkha mohabbat se ada se pahle
umr bhar parkhā mohabbat se adā se pahle
us ne Thukrā diyā phir mujh ko ḳhatā se pahle
ab to ik rasm-e-mohabbat hai mohabbat kab hai
varna jaatā nahīñ ye rog qazā se pahle
aaj ke daur kā insāf to dekhe koī
hai yahāñ hukm-e-sazā azm-e-ḳhatā se pahle
kitnā taḌpegā koī ālam-e-tanhā.ī meñ
tum ne sochā bhī nahīñ tark-e-vafā se pahle
naaz hai apne muqaddar pe hameñ ai 'ambar'
vo atā kartā hai har chiiz duā se pahle
umr bhar parkha mohabbat se ada se pahle
us ne Thukra diya phir mujh ko KHata se pahle
ab to ek rasm-e-mohabbat hai mohabbat kab hai
warna jata nahin ye rog qaza se pahle
aaj ke daur ka insaf to dekhe koi
hai yahan hukm-e-saza azm-e-KHata se pahle
kitna taDpega koi aalam-e-tanhai mein
tum ne socha bhi nahin tark-e-wafa se pahle
naz hai apne muqaddar pe hamein ai 'ambar'
wo ata karta hai har chiz dua se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.