umr bhar puja hai maine jis ko wo dar hai yahi
'umr bhar puujā hai maiñ ne jis ko vo dar hai yahī
but-kada merā yahī allāh kā ghar hai yahī
jhuk gayā dil ruuh ne sajda kiyā be-iḳhtiyār
jalva-gāh-e-dil-navāz-o-rūh-parvar hai yahī
kaT ga.iiñ hosh-o-ḳhirad kī beḌiyāñ aa kar yahāñ
markaz-e-jazb-o-junūñ allāhu-akbar hai yahī
zarre zarre se yahāñ ke aa rahī hai bū-e-dost
chhoḌ kar ghar ham jahāñ aa.e haiñ vo ghar hai yahī
jagmagā uTThe haiñ sharq-o-ġharb jis ke nuur se
mehr-e-'ālam-tāb māh-e-nūr-gustar hai yahī
'umr bhar puja hai main ne jis ko wo dar hai yahi
but-kada mera yahi allah ka ghar hai yahi
jhuk gaya dil ruh ne sajda kiya be-iKHtiyar
jalwa-gah-e-dil-nawaz-o-ruh-parwar hai yahi
kaT gain hosh-o-KHirad ki beDiyan aa kar yahan
markaz-e-jazb-o-junun allahu-akbar hai yahi
zarre zarre se yahan ke aa rahi hai bu-e-dost
chhoD kar ghar hum jahan aae hain wo ghar hai yahi
jagmaga uTThe hain sharq-o-gharb jis ke nur se
mehr-e-'alam-tab mah-e-nur-gustar hai yahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.