umr bhar saeban mein rahna
umr bhar sā.ebān meñ rahnā
tum jahāñ ho amaan meñ rahnā
yaad kā ye bhī silsila hai bahut
ik kiran kā gumān meñ rahnā
jab koī aarzū na rah jaa.e
dil ke ḳhālī makān meñ rahnā
nafrateñ bārishoñ kī sūrat haiñ
aag ke darmiyān meñ rahnā
sūrat-e-surḳhī-e-fasāna-e-gul
tum mirī dāstān meñ rahnā
umr bhar saeban mein rahna
tum jahan ho aman mein rahna
yaad ka ye bhi silsila hai bahut
ek kiran ka guman mein rahna
jab koi aarzu na rah jae
dil ke KHali makan mein rahna
nafraten barishon ki surat hain
aag ke darmiyan mein rahna
surat-e-surKHi-e-fasana-e-gul
tum meri dastan mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.