umr bhar sath sath aata hai
umr bhar saath saath aatā hai
vo jo ujlat meñ chhūT jaatā hai
ruuh kī baat karne vaale tū
jism kis ke liye bachātā hai
ek to tairnā nahīñ aatā
aur phir kashtiyāñ chalātā hai
ba.ad muddat ke mil rahā hai vo
dekhiye baat kyā banātā hai
jaane kyā hādisa huā thā ki
dil charāġhoñ se ḳhauf khātā hai
merā andāz aur kuchh hai aur
ā.īna aur kuchh dikhātā hai
vo kabhī yaad to nahīñ kartā
haañ magar yaad ḳhuub aatā hai
tum ko kis ne kahā pilāne ko
husn to tishnagī baḌhātā hai
jaane kyā phūñkne kī zid hai use
raat bhar tīliyāñ jalātā hai
umr bhar sath sath aata hai
wo jo ujlat mein chhuT jata hai
ruh ki baat karne wale tu
jism kis ke liye bachata hai
ek to tairna nahin aata
aur phir kashtiyan chalata hai
baad muddat ke mil raha hai wo
dekhiye baat kya banata hai
jaane kya hadisa hua tha ki
dil charaghon se KHauf khata hai
mera andaz aur kuchh hai aur
aaina aur kuchh dikhata hai
wo kabhi yaad to nahin karta
han magar yaad KHub aata hai
tum ko kis ne kaha pilane ko
husn to tishnagi baDhata hai
jaane kya phunkne ki zid hai use
raat bhar tiliyan jalata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.