umr bhar us pe maiñ marā hī kiyā
vo masīhā bhī dam diyā hī kiyā
thā vo nā-āshnā-mizāj vale
āḳhirash ham ne āshnā hī kiyā
āshiqī ke sivā bhī ham ne aur
jo kiyā kaam so burā hī kiyā
kar ga.e qais-o-koh-kan jo jo
ham ne us se bhī kuchh sivā hī kiyā
go bhalā yā burā thā sher apnā
sun ke yāroñ ne vāh-vā hī kiyā
ik na ik us kī zulf-e-barham se
pech dil par mire paḌā hī kiyā
shab-e-furqat meñ 'muntazir' har roz
sham.a sā dil mirā jalā hī kiyā
umr bhar us pe main mara hi kiya
wo masiha bhi dam diya hi kiya
tha wo na-ashna-mizaj wale
aaKHirash hum ne aashna hi kiya
aashiqi ke siwa bhi hum ne aur
jo kiya kaam so bura hi kiya
kar gae qais-o-koh-kan jo jo
hum ne us se bhi kuchh siwa hi kiya
go bhala ya bura tha sher apna
sun ke yaron ne wah-wa hi kiya
ek na ek us ki zulf-e-barham se
pech dil par mere paDa hi kiya
shab-e-furqat mein 'muntazir' har roz
shama sa dil mera jala hi kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.