umr bhar zist ki mahkar se bach bach ke chala
umr bhar ziist kī mahkār se bach bach ke chalā
dil jalā raunaq-e-bāzār se bach bach ke chalā
be-sulūkī ne burā.ī meñ bhī jaḌ pakḌī hai
kyoñ riyā-kār riyā-kār se bach bach ke chalā
is qadar apne gunāhoñ se aqīdat hai mujhe
umr bhar sāhab-e-kirdār se bach bach ke chalā
merī kuTiyā meñ ziyā-bār hai bujhtā sā diyā
chāñd kyoñ rauzan-e-dīvār se bach bach ke chalā
aa gayā vaqt ke āḳhir to shikanje meñ bhī vo
laakh jo vaqt kī raftār se bach bach ke chalā
sar pe dastār liye phirte haiñ qāmat se buland
maiñ har ik sāhab-e-dastār se bach bach ke chalā
hausla kaise kare bhaa.ī vo banñe kā kahār
'jān' chiḌiyoñ kī jo chahkār se bach bach ke chalā
umr bhar zist ki mahkar se bach bach ke chala
dil jala raunaq-e-bazar se bach bach ke chala
be-suluki ne burai mein bhi jaD pakDi hai
kyon riya-kar riya-kar se bach bach ke chala
is qadar apne gunahon se aqidat hai mujhe
umr bhar sahab-e-kirdar se bach bach ke chala
meri kuTiya mein ziya-bar hai bujhta sa diya
chand kyon rauzan-e-diwar se bach bach ke chala
aa gaya waqt ke aaKHir to shikanje mein bhi wo
lakh jo waqt ki raftar se bach bach ke chala
sar pe dastar liye phirte hain qamat se buland
main har ek sahab-e-dastar se bach bach ke chala
hausla kaise kare bhai wo banne ka kahaar
'jaan' chiDiyon ki jo chahkar se bach bach ke chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.