umr-e-abad se KHizr ko be-zar dekh kar
umr-e-abad se ḳhizr ko be-zār dekh kar
ḳhush hoñ fusūn-e-nargis-e-bīmār dekh kar
kyā jalva-gāh-e-hasrat-e-nazzāra hai bahisht
hairāñ huuñ sūrat-e-dar-o-dīvār dekh kar
baada ba-qadr-e-zarf sahī rasm-e-mai-kada
saaqī nazākat-e-dil-e-mai-ḳhvār dekh kar
ab justujū-e-dost kī manzil kahīñ bhī ho
ham chal paḌe haiñ raah ko dushvār dekh kar
shāyān-e-jurm-e-ishq na thī qaid-e-zindagī
jī shaad ho gayā rasan-o-dār dekh kar
ab is se kyā ġharaz ye haram hai ki dair hai
baiThe haiñ ham to sāya-e-dīvār dekh kar
ab hashr tak hijāb-nashīñ hai nigāh-e-shauq
chhupnā thā rañg-e-hasrat-e-dīdār dekh kar
rāz-e-faroġh-e-āḳhir-e-shab kuchh na khul sakā
kyuuñ ḳhush hai sham' sub.h ke āsār dekh kar
sāz-e-ġhazal uThā hī liyā ham ne ai 'ravish'
is chashm-e-nīm-bāz kā isrār dekh kar
umr-e-abad se KHizr ko be-zar dekh kar
KHush hon fusun-e-nargis-e-bimar dekh kar
kya jalwa-gah-e-hasrat-e-nazzara hai bahisht
hairan hun surat-e-dar-o-diwar dekh kar
baada ba-qadr-e-zarf sahi rasm-e-mai-kada
saqi nazakat-e-dil-e-mai-KHwar dekh kar
ab justuju-e-dost ki manzil kahin bhi ho
hum chal paDe hain rah ko dushwar dekh kar
shayan-e-jurm-e-ishq na thi qaid-e-zindagi
ji shad ho gaya rasan-o-dar dekh kar
ab is se kya gharaz ye haram hai ki dair hai
baiThe hain hum to saya-e-diwar dekh kar
ab hashr tak hijab-nashin hai nigah-e-shauq
chhupna tha rang-e-hasrat-e-didar dekh kar
raaz-e-farogh-e-aKHir-e-shab kuchh na khul saka
kyun KHush hai sham' subh ke aasar dekh kar
saz-e-ghazal uTha hi liya hum ne ai 'rawish'
is chashm-e-nim-baz ka israr dekh kar
- Book : Noquush (Pg. B-336 E-352)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.