umr-e-do-roza taba-e-hijr-o-visal hai
umr-e-do-roza tāba-e-hijr-o-visāl hai
ik din agar ḳhushī hai to ik din malāl hai
miTne kā apne dil ke nahīñ mujh ko ġham zarā
duniyā ke miTne kā magar ab to savāl hai
saaqī pilā.e aur phir apnī qasam ke saath
is tarah se jahāñ bhī mile mai halāl hai
maanā niyāz-e-ishq kā hai ḳhāmushī javāb
phir bhī savāl apnī jagah par savāl hai
pāmāl kyā karegā zamāna use bhalā
tere ḳhirām-e-nāz kā jo pā.emāl hai
naqsh-e-vafā huuñ miTne kā apne nahīñ hai ġham
'afqar' miTā.e mujh ko koī kyā majāl hai
umr-e-do-roza taba-e-hijr-o-visal hai
ek din agar KHushi hai to ek din malal hai
miTne ka apne dil ke nahin mujh ko gham zara
duniya ke miTne ka magar ab to sawal hai
saqi pilae aur phir apni qasam ke sath
is tarah se jahan bhi mile mai halal hai
mana niyaz-e-ishq ka hai KHamushi jawab
phir bhi sawal apni jagah par sawal hai
pamal kya karega zamana use bhala
tere KHiram-e-naz ka jo paemal hai
naqsh-e-wafa hun miTne ka apne nahin hai gham
'afqar' miTae mujh ko koi kya majal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.