umr-e-fani ko hayat-e-jawidan samjha tha main
umr-e-fani ko hayat-e-jawidan samjha tha main
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
umr-e-fānī ko hayāt-e-jāvidāñ samjhā thā maiñ
thī ḳhizāñ jis ko bahār-e-gulsitāñ samjhā thā maiñ
daam ham-rang-e-zamīñ hai aur vahī sayyād bhī
apnī aahoñ ko harīf-e-āsmāñ samjhā thā maiñ
kis tarah ab kar sake koī kisī par e'timād
rāhzan the jin ko mīr-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
ḳhaar ġhunche ban ga.e aur phuul angāre bane
terī duniyā ko to yā-rab gulsitāñ samjhā thā maiñ
ḳhāna-e-dil meñ na un se ho sakī kuchh raushnī
dāġh-hā-e-dil ko apne kahkashāñ samjhā thā maiñ
dast-o-pā ne dī shahādat hashr meñ mere ḳhilāf
zindagī ke sāthiyoñ ko be-zabāñ samjhā thā maiñ
ab tirī marzī ho jaisī baḳhsh de yā de sazā
terī rahmat ko ilāhī be-karāñ samjhā thā maiñ
aaj us ko le ga.ī bād-e-sabā mahbūb tak
ḳhaak vo merī ki jis ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
ālam-e-ġhurbat hai maiñ huuñ aur nahīñ koī 'zakī'
hai haqīqat ab jise vahm-o-gumāñ samjhā thā maiñ
umr-e-fani ko hayat-e-jawidan samjha tha main
thi KHizan jis ko bahaar-e-gulsitan samjha tha main
dam ham-rang-e-zamin hai aur wahi sayyaad bhi
apni aahon ko harif-e-asman samjha tha main
kis tarah ab kar sake koi kisi par e'timad
rahzan the jin ko mir-e-karwan samjha tha main
KHar ghunche ban gae aur phul angare bane
teri duniya ko to ya-rab gulsitan samjha tha main
KHana-e-dil mein na un se ho saki kuchh raushni
dagh-ha-e-dil ko apne kahkashan samjha tha main
dast-o-pa ne di shahadat hashr mein mere KHilaf
zindagi ke sathiyon ko be-zaban samjha tha main
ab teri marzi ho jaisi baKHsh de ya de saza
teri rahmat ko ilahi be-karan samjha tha main
aaj us ko le gai baad-e-saba mahbub tak
KHak wo meri ki jis ko raegan samjha tha main
aalam-e-ghurbat hai main hun aur nahin koi 'zaki'
hai haqiqat ab jise wahm-o-guman samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.