umr gai ulfat-e-zar ji se ilahi na gai
umr gai ulfat-e-zar ji se ilahi na gai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi
umr ga.ī ulfat-e-zar jī se ilāhī na ga.ī
mū safed ho ga.e par dil kī siyāsī na ga.ī
jī meñ Thānā thā ki ham hijr meñ jiine ke nahīñ
mar ga.e aah ye baat ham se nibāhī na ga.ī
umr ga.ī hijr meñ dil kartā hai mazkūr-e-visāl
baat ab tak yahī dīvāne kī vaahī na ga.ī
jī gavārā nahīñ kartā ki karūñ minnat-e-ḳhalq
ho ga.e garche gadā dil se vo shāhī na ga.ī
duḳhtar-e-raz se faqat meñ nahīñ mahfūz 'huzūr'
kaun majlis hai ki jis meñ ye sarāhī na ga.ī
umr gai ulfat-e-zar ji se ilahi na gai
mu safed ho gae par dil ki siyasi na gai
ji mein Thana tha ki hum hijr mein jine ke nahin
mar gae aah ye baat hum se nibahi na gai
umr gai hijr mein dil karta hai mazkur-e-visal
baat ab tak yahi diwane ki wahi na gai
ji gawara nahin karta ki karun minnat-e-KHalq
ho gae garche gada dil se wo shahi na gai
duKHtar-e-raz se faqat mein nahin mahfuz 'huzur'
kaun majlis hai ki jis mein ye sarahi na gai
- Dewan-e-Huzoor (E-Book)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.