umr guzri agarche pachpan se
'umr guzrī agarche pachpan se
ḳhvāb dekheñ magar laḌakpan se
husn ko dekh kar machal jaanā
dil kī 'ādat rahī hai bachpan se
kah rahā hai mujhe tarāshe jā
but-e-ḳhvāhish dil-e-barahman se
un ko 'irfān-e-'ishq kyūñkar ho
jin ko matlab ho zar se yā zan se
ab to āñkheñ bhī jhuuT kahne lagīñ
ab sadā aa.egī kahāñ man se
'umr guzri agarche pachpan se
KHwab dekhen magar laDakpan se
husn ko dekh kar machal jaana
dil ki 'adat rahi hai bachpan se
kah raha hai mujhe tarashe ja
but-e-KHwahish dil-e-barahman se
un ko 'irfan-e-'ishq kyunkar ho
jin ko matlab ho zar se ya zan se
ab to aankhen bhi jhuT kahne lagin
ab sada aaegi kahan man se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.