umr guzri hai bad-gumani par
umr guzrī hai bad-gumānī par
maiñ yaqīñ kar gayā kahānī par
chāñd merī tarah bhī TuuTā thā
jab ghaTā chhā.ī rut suhānī par
toḌiye ab rasan firāq kī yaar
rahm khā jaao zindagānī par
saañs tham jā.egī samundar kī
ashk gir jā.egā jo paanī par
maañ bulā.e to aap bole nahīñ
haif hai aap kī javānī par
naaz kartā hai zamzam-o-kausar
har ghaḌī arq-e-zau-fishānī par
umr guzri hai bad-gumani par
main yaqin kar gaya kahani par
chand meri tarah bhi TuTa tha
jab ghaTa chhai rut suhani par
toDiye ab rasan firaq ki yar
rahm kha jao zindagani par
sans tham jaegi samundar ki
ashk gir jaega jo pani par
man bulae to aap bole nahin
haif hai aap ki jawani par
naz karta hai zamzam-o-kausar
har ghaDi arq-e-zau-fishani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.