umr guzri hai to phir hosh ko rab yaad aaya
umr guzrī hai to phir hosh ko rab yaad aayā
mar gayā shauq to phir is kā sabab yaad aayā
din kā āġhāz huā aañkh meñ aañsū aa.e
avval-e-shab kā ziyāñ āḳhir-e-shab yaad aayā
mujh ko to yaad nā thā us se judā ho jaanā
vo to batlāyā mujhe us ne to tab yaad aayā
ab ke shahroñ meñ bhī jañgal kī havā aisī chalī
maa.eñ bistar meñ chhupīñ bheḌiyā jab yaad aayā
merī tarah se vo yak-rañgī se tañg aayā to
din ko phir raat meñ Dhal jaane kā Dhab yaad aayā
umr guzri hai to phir hosh ko rab yaad aaya
mar gaya shauq to phir is ka sabab yaad aaya
din ka aaghaz hua aankh mein aansu aae
awwal-e-shab ka ziyan aaKHir-e-shab yaad aaya
mujh ko to yaad na tha us se juda ho jaana
wo to batlaya mujhe us ne to tab yaad aaya
ab ke shahron mein bhi jangal ki hawa aisi chali
maen bistar mein chhupin bheDiya jab yaad aaya
meri tarah se wo yak-rangi se tang aaya to
din ko phir raat mein Dhal jaane ka Dhab yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.