umr guzri ki tujhe humne bhula rakkha hai
umr guzrī ki tujhe ham ne bhulā rakkhā hai
apne har jānñe vaale ko batā rakkhā hai
na sahī vasl koī jism to ho pahlū meñ
mujh ko tanhā.ī ne dīvāna banā rakkhā hai
haiñ nashe ke sabhī sāmān mire kamre meñ
aur ek taaq pe zāhid kā ḳhudā rakkhā hai
kul milā kar koī chaubīs haiñ ġham ulfat ke
in meñ ik ġham hai jise sab se judā rakkhā hai
jis kī lau dekh ke bhaTke hue aa jaate the
kuchh dinoñ se vo diyā ham ne bujhā rakkhā hai
zindagī kā mirī har baab ayaañ duniyā par
maiñ ne is tarah har ik aib chhupā rakkhā hai
umr guzri ki tujhe hum ne bhula rakkha hai
apne har jaanne wale ko bata rakkha hai
na sahi wasl koi jism to ho pahlu mein
mujh ko tanhai ne diwana bana rakkha hai
hain nashe ke sabhi saman mere kamre mein
aur ek taq pe zahid ka KHuda rakkha hai
kul mila kar koi chaubis hain gham ulfat ke
in mein ek gham hai jise sab se juda rakkha hai
jis ki lau dekh ke bhaTke hue aa jate the
kuchh dinon se wo diya hum ne bujha rakkha hai
zindagi ka meri har bab ayan duniya par
main ne is tarah har ek aib chhupa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.