umr guzri rahguzar ke aas-pas
umr guzrī rahguzar ke ās-pās
raqs karte us nazar ke ās-pās
zulf khultī hai to uThtā hai dhuāñ
ābshār-e-chashm-e-tar ke ās-pās
kauñdtī haiñ bijliyāñ barsāt meñ
tā.ir-e-be-bāl-o-par ke ās-pās
raat bhar āvāra patte aur havā
raqs karte haiñ shajar ke ās-pās
chhoḌ aayā huuñ matā-e-jāñ kahīñ
ġhāliban us rahguzar ke ās-pās
baal bikhrā.e ye būḌhī chāñdnī
DhūñDtī hai kyā khañDar ke ās-pās
is galī meñ ek laḌkā aaj bhī
ghūmtā rahtā hai ghar ke ās-pās
ek sūrat-āshnā saa.e kī dhuup
paḌ rahī hai bām-o-dar ke ās-pās
kaise pur-asrār chehre haiñ 'rasā'
ḳhvāb-gāh-e-shīsha-gar ke ās-pās
umr guzri rahguzar ke aas-pas
raqs karte us nazar ke aas-pas
zulf khulti hai to uThta hai dhuan
aabshaar-e-chashm-e-tar ke aas-pas
kaundti hain bijliyan barsat mein
tair-e-be-baal-o-par ke aas-pas
raat bhar aawara patte aur hawa
raqs karte hain shajar ke aas-pas
chhoD aaya hun mata-e-jaan kahin
ghaaliban us rahguzar ke aas-pas
baal bikhrae ye buDhi chandni
DhunDti hai kya khanDar ke aas-pas
is gali mein ek laDka aaj bhi
ghumta rahta hai ghar ke aas-pas
ek surat-ashna sae ki dhup
paD rahi hai baam-o-dar ke aas-pas
kaise pur-asrar chehre hain 'rasa'
KHwab-gah-e-shisha-gar ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.