Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr ka sath nibhaya hai is andaz ke sath

Ravendr Jain

umr ka sath nibhaya hai is andaz ke sath

Ravendr Jain

MORE BYRavendr Jain

    umr saath nibhāyā hai is andāz ke saath

    jaise kartā ho vafā koī daġhābāz ke saath

    raat ārām se guzrī ho ki dushvārī se

    har sahar uḌ ke chale ham na.ī parvāz ke saath

    haar ke TuuT ke pahle qadam par gir jaa.eñ

    ham agar joḌ leñ anjām ko āġhāz ke saath

    maiñ nahīñ shāh-jahāñ par ye tamanna hai zarūr

    dafn kar denā mujhe bhī mirī mumtāz ke saath

    naġhma-o-sher ke sangam pe nahā le duniyā

    mere ash.ār sune gar tirī āvāz ke saath

    nāz-bardāriyāñ us shoḳh allāh allāh

    phuul qadmoñ pe bikharte haiñ baḌe naaz ke saath

    naġhma dilkash ho to har tarah asar kartā hai

    kabhī āvāz ke hamrāh kabhī saaz ke saath

    umr ka sath nibhaya hai is andaz ke sath

    jaise karta ho wafa koi daghabaz ke sath

    raat aaram se guzri ho ki dushwari se

    har sahar uD ke chale hum nai parwaz ke sath

    haar ke TuT ke pahle hi qadam par gir jaen

    hum agar joD len anjam ko aaghaz ke sath

    main nahin shah-jahan par ye tamanna hai zarur

    dafn kar dena mujhe bhi meri mumtaz ke sath

    naghma-o-sher ke sangam pe naha le duniya

    mere ashaar sune gar teri aawaz ke sath

    naz-bardariyan us shoKH ki allah allah

    phul qadmon pe bikharte hain baDe naz ke sath

    naghma dilkash ho to har tarah asar karta hai

    kabhi aawaz ke hamrah kabhi saz ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now