umr ke aangan mein belen ban ke phaila koi KHwab
umr ke āñgan meñ beleñ ban ke phailā koī ḳhvāb
jaise jiine ke liye kaafī ho tanhā koī ḳhvāb
sochiye kyā mauj-e-gul se bhī koī lab tar huā
dekhiye sāhil pe rah jaa.e na pyāsā koī ḳhvāb
rang-o-sūrat do alag shaḳhsiyyateñ haiñ is liye
donoñ kahte haiñ hameñ diije hamārā koī ḳhvāb
vāhimoñ kī zad se bachne ko safar jaarī rakho
tum zarā Thahre ki saaya ban ke uljhā koī ḳhvāb
phir dhaḌakte haiñ dil-e-insāñ meñ fardā ke ḳhayāl
phir havāoñ ne zamīñ par lā utārā koī ḳhvāb
us ko ḳhvāboñ se ziyāda rat-jagoñ kā shauq thā
us kī palkoñ par isī baa.is na Thahrā koī ḳhvāb
sang-pāroñ kī zabāñ hotī to shāyad māñgte
koī chehra koī paikar koī sho.ala koī ḳhvāb
kyā tamāsha-gāh meñ us ke liye manzar na the
yā use masrūf rakhtā hai usī kā koī ḳhvāb
shor-e-duniyā meñ sisaktī hai sadā-e-dil kahīñ
zindagī tashkīl de naġhmāt jaisā koī ḳhvāb
umr ke aangan mein belen ban ke phaila koi KHwab
jaise jine ke liye kafi ho tanha koi KHwab
sochiye kya mauj-e-gul se bhi koi lab tar hua
dekhiye sahil pe rah jae na pyasa koi KHwab
rang-o-surat do alag shaKHsiyyaten hain is liye
donon kahte hain hamein dije hamara koi KHwab
wahimon ki zad se bachne ko safar jari rakho
tum zara Thahre ki saya ban ke uljha koi KHwab
phir dhaDakte hain dil-e-insan mein farda ke KHayal
phir hawaon ne zamin par la utara koi KHwab
us ko KHwabon se ziyaada rat-jagon ka shauq tha
us ki palkon par isi bais na Thahra koi KHwab
sang-paron ki zaban hoti to shayad mangte
koi chehra koi paikar koi shoala koi KHwab
kya tamasha-gah mein us ke liye manzar na the
ya use masruf rakhta hai usi ka koi KHwab
shor-e-duniya mein sisakti hai sada-e-dil kahin
zindagi tashkil de naghmat jaisa koi KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.