umr ke lambe safar se tajraba aisa mila
umr ke lambe safar se tajraba aisā milā
dhuup jab bhī sar pai aa.ī lāpata saayā milā
dekhnā hai aks mujh ko apnā puurā hī magar
jab milā vo aa.ina mujh ko zarā TuuTā milā
hañste chehroñ kī kahānī jāntī huuñ ḳhuub maiñ
jis ko bhī parkhā vahī TuuTā milā bikhrā milā
jal rahe haiñ paañv ik muddat se rāhat ke liye
jis taraf bhī maiñ ga.ī taptā huā sahrā milā
raat din māñgī duā jis ham-safar ke vāste
mere jiite jī vo merā marsiya paḌhtā milā
umr ke lambe safar se tajraba aisa mila
dhup jab bhi sar pai aai lapata saya mila
dekhna hai aks mujh ko apna pura hi magar
jab mila wo aaina mujh ko zara TuTa mila
hanste chehron ki kahani jaanti hun KHub main
jis ko bhi parkha wahi TuTa mila bikhra mila
jal rahe hain panw ek muddat se rahat ke liye
jis taraf bhi main gai tapta hua sahra mila
raat din mangi dua jis ham-safar ke waste
mere jite ji wo mera marsiya paDhta mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.