umr ko karti hain pamal barabar yaaden
'umr ko kartī haiñ pāmāl barābar yādeñ
marne detī haiñ na jiine ye sitamgar yādeñ
haiñ kabhī ḳhūn-e-tamannā kī shanāvar yādeñ
shāḳh-e-dil par haiñ kabhī barg-e-gul-e-tar yādeñ
himmat-e-koh-kanī par bhī kabhī bhārī haiñ
aur tultī haiñ kabhī nok-e-mizha par yādeñ
thak ke duniyā se agar kījiye ḳhvāboñ kī talāsh
niiñd uḌā detī haiñ afsāne sunā kar yādeñ
raah bhūle hue sayyāh ko tanhā pā kar
luuT letī haiñ miTā detī haiñ chhup kar yādeñ
ahd-e-rafta ke pur-asrār ghane jangal meñ
phūñk kar sehr banā detī haiñ patthar yādeñ
koī ḳhud-rafta-o-gum-gashta bhaTaktā hai jahāñ
ajnabī ban ke vahāñ miltī haiñ aksar yādeñ
jab bhī maazī ke dayāroñ se guzar hotā hai
kāsa-e-chashm liye phirtī haiñ dar-dar yādeñ
'umr ko karti hain pamal barabar yaaden
marne deti hain na jine ye sitamgar yaaden
hain kabhi KHun-e-tamanna ki shanawar yaaden
shaKH-e-dil par hain kabhi barg-e-gul-e-tar yaaden
himmat-e-koh-kani par bhi kabhi bhaari hain
aur tulti hain kabhi nok-e-mizha par yaaden
thak ke duniya se agar kijiye KHwabon ki talash
nind uDa deti hain afsane suna kar yaaden
rah bhule hue sayyah ko tanha pa kar
luT leti hain miTa deti hain chhup kar yaaden
ahd-e-rafta ke pur-asrar ghane jangal mein
phunk kar sehr bana deti hain patthar yaaden
koi KHud-rafta-o-gum-gashta bhaTakta hai jahan
ajnabi ban ke wahan milti hain aksar yaaden
jab bhi mazi ke dayaron se guzar hota hai
kasa-e-chashm liye phirti hain dar-dar yaaden
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.