umr pa kar bhi na badli rasm-e-mai-KHana abhi
umr pā kar bhī na badlī rasm-e-mai-ḳhāna abhī
apnoñ hī apnoñ meñ hai taqsīm-e-mai-ḳhāna abhī
dekh le duniyā bhī kyā hotā hai anjām-e-vafā
bazm meñ rahne do yūñhī ḳhāk-e-parvāna abhī
kyā tamāshā hai ki ban baiThe haiñ vo pīr-e-muġhāñ
jo nahīñ haiñ vāqif-e-ādāb-e-mai-ḳhāna abhī
ek din khul kar rahegā terī ulfat kā bharam
ġhair tak pahuñchā kahāñ hai merā afsāna abhī
dair meñ rah kar bhī hai 'muslim' vafādār-e-haram
us kī majbūrī ko samjheñ ahl-e-but-ḳhāna abhī
umr pa kar bhi na badli rasm-e-mai-KHana abhi
apnon hi apnon mein hai taqsim-e-mai-KHana abhi
dekh le duniya bhi kya hota hai anjam-e-wafa
bazm mein rahne do yunhi KHak-e-parwana abhi
kya tamasha hai ki ban baiThe hain wo pir-e-mughan
jo nahin hain waqif-e-adab-e-mai-KHana abhi
ek din khul kar rahega teri ulfat ka bharam
ghair tak pahuncha kahan hai mera afsana abhi
dair mein rah kar bhi hai 'muslim' wafadar-e-haram
us ki majburi ko samjhen ahl-e-but-KHana abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.