umr sari yunhi guzari hai
umr saarī yūñhī guzārī hai
din kisī ke haiñ shab hamārī hai
kah rahī hai ye shām-e-tanhā.ī
aaj kī raat ham pe bhārī hai
do-ghaḌī pyaar kī kareñ bāteñ
dil jalāne ko umr saarī hai
kuchh parinde fazā meñ uḌte haiñ
kuchh parindoñ pe ḳhauf taarī hai
jaise sahrā meñ ik shajar tanhā
ham ne yuuñ zindagī guzārī hai
apnā sheva mohabbateñ karnā
aage marzī 'hasan' tumhārī hai
umr sari yunhi guzari hai
din kisi ke hain shab hamari hai
kah rahi hai ye sham-e-tanhai
aaj ki raat hum pe bhaari hai
do-ghaDi pyar ki karen baaten
dil jalane ko umr sari hai
kuchh parinde faza mein uDte hain
kuchh parindon pe KHauf tari hai
jaise sahra mein ek shajar tanha
hum ne yun zindagi guzari hai
apna shewa mohabbaten karna
aage marzi 'hasan' tumhaari hai
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 36)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.