umr thoDi hai aur kaam bahut
umr thoḌī hai aur kaam bahut
zindagī bhī hai tez-gām bahut
aa to pahuñche haiñ apnī manzil par
haañ magar ho ga.ī hai shaam bahut
tā.ir-e-dil kī sab nazar meñ hai
yuuñ to phaile hue haiñ daam bahut
umr bhar kaif kam nahīñ hotā
piine vaale ko ek jaam bahut
piine vāloñ kā zarf hai darkār
shīsha saaqī surāhī jaam bahut
daur-e-jamhūr meñ bhī ai 'qaisar'
log karte haiñ kyoñ salām bahut
umr thoDi hai aur kaam bahut
zindagi bhi hai tez-gam bahut
aa to pahunche hain apni manzil par
han magar ho gai hai sham bahut
tair-e-dil ki sab nazar mein hai
yun to phaile hue hain dam bahut
umr bhar kaif kam nahin hota
pine wale ko ek jam bahut
pine walon ka zarf hai darkar
shisha saqi surahi jam bahut
daur-e-jamhur mein bhi ai 'qaisar'
log karte hain kyon salam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.