Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un aankhon ki hairat aur dabiz karun

Ziaul Mustafa Turk

un aankhon ki hairat aur dabiz karun

Ziaul Mustafa Turk

MORE BYZiaul Mustafa Turk

    un āñkhoñ hairat aur dabīz karūñ

    kyuuñ na tujhe bhī ā.īna tajvīz karūñ

    harf-e-na-gufta biich meñ haa.il hai kab se

    bāb-e-suḳhan meñ ḳhāmoshī taqrīz karūñ

    fursat-e-shab meñ terā dhyān aa jaatā hai

    kunj-e-chaman kyūñkar ghar dahlīz karūñ

    āñkheñ muñd jā.eñgī manzar bujhne tak

    is asnā meñ ḳhvāb kise tafvīz karūñ

    un aankhon ki hairat aur dabiz karun

    kyun na tujhe bhi aaina tajwiz karun

    harf-e-na-gufta bich mein hail hai kab se

    bab-e-suKHan mein KHamoshi taqriz karun

    fursat-e-shab mein tera dhyan aa jata hai

    kunj-e-chaman kyunkar ghar ki dahliz karun

    aankhen mund jaengi manzar bujhne tak

    is asna mein KHwab kise tafwiz karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now