un aankhon mein humne haya dekh li hai
un āñkhoñ meñ ham ne hayā dekh lī hai
nirālī sī tarz-e-jafā dekh lī hai
tumhāre nahīñ bas meñ kuchh ai tabībo
davā ham ne sabr-āzmā dekh lī hai
na aa.egā koī nazar meñ hasīñ ab
tire husn kī intihā dekh lī hai
karūñ naaz qismat pe jitnā bhī kam hai
kanakhiyoñ kī terī adā dekh lī hai
ḳhizāñ meñ qafas se milī kyā rihā.ī
ḳhatāoñ kī saarī sazā dekh lī hai
na saanī milā koī apne chaman kā
zamāne kī saarī fazā dekh lī hai
masarrat ke aalam meñ gum-sum hai 'shādāñ'
tirī rahguzar us ne kyā dekh lī hai
un aankhon mein hum ne haya dekh li hai
nirali si tarz-e-jafa dekh li hai
tumhaare nahin bas mein kuchh ai tabibo
dawa hum ne sabr-azma dekh li hai
na aaega koi nazar mein hasin ab
tere husn ki intiha dekh li hai
karun naz qismat pe jitna bhi kam hai
kanakhiyon ki teri ada dekh li hai
KHizan mein qafas se mili kya rihai
KHataon ki sari saza dekh li hai
na sani mila koi apne chaman ka
zamane ki sari faza dekh li hai
masarrat ke aalam mein gum-sum hai 'shadan'
teri rahguzar us ne kya dekh li hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 196)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.