un intizar ke mare huon ka dukh samjho
un intizār ke maare huoñ kā dukh samjho
hamārā hijr visāle huoñ kā dukh samjho
samajh meñ aa.e to samjho kabhī hamārā dukh
phir us ke baad hamāre huoñ kā dukh samjho
pahāḌ din ko udāsī se kāTne vaalo
sutūn-e-shab ko sañbhāle huoñ kā dukh samjho
unheñ maiñ bhuul gayā ro liyā jinheñ jī bhar
hamārī aañkh ke dhāre huoñ kā dukh samjho
hameñ ḳhabar hai koī sub.h tak bachegā nahīñ
so ham charāġh bujhāte huoñ kā dukh samjho
un intizar ke mare huon ka dukh samjho
hamara hijr visale huon ka dukh samjho
samajh mein aae to samjho kabhi hamara dukh
phir us ke baad hamare huon ka dukh samjho
pahaD din ko udasi se kaTne walo
sutun-e-shab ko sanbhaale huon ka dukh samjho
unhen main bhul gaya ro liya jinhen ji bhar
hamari aankh ke dhaare huon ka dukh samjho
hamein KHabar hai koi subh tak bachega nahin
so hum charagh bujhate huon ka dukh samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.