un ka andaz-e-bayan aur asar to dekho
un kā andāz-e-bayāñ aur asar to dekho
guftugū kā ye salīqa ye hunar to dekho
zaḳhm par marham-e-ummīd rakhā hai maiñ ne
dekhne vaalo mirā zaḳhm-e-jigar to dekho
kah rahī hai mire kānoñ meñ guzartī huī shaam
ye mirā hausla ye azm-e-safar to dekho
aa.e to haiñ mire nazdīk vo thoḌā sā magar
un kā begāna sā andāz-e-nazar to dekho
shab-e-tārīk bhī laa.ī hai ujāloñ ke payām
chhat pe phailī huī ye ujlī sahar to dekho
'yāsmīñ' chāñd sitāroñ se kahā hai maiñ ne
aao merā hasīñ bhopal nagar to dekho
un ka andaz-e-bayan aur asar to dekho
guftugu ka ye saliqa ye hunar to dekho
zaKHm par marham-e-ummid rakha hai main ne
dekhne walo mera zaKHm-e-jigar to dekho
kah rahi hai mere kanon mein guzarti hui sham
ye mera hausla ye azm-e-safar to dekho
aae to hain mere nazdik wo thoDa sa magar
un ka begana sa andaz-e-nazar to dekho
shab-e-tarik bhi lai hai ujalon ke payam
chhat pe phaili hui ye ujli sahar to dekho
'yasmin' chand sitaron se kaha hai main ne
aao mera hasin bhopal nagar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.