un ka wada wafa nahin hota
un kā va.ada vafā nahīñ hotā
dil ki phir bhī ḳhafā nahīñ hotā
laakh toḌe zamāna jaur-o-sitam
kis kā āḳhir ḳhudā nahīñ hotā
ham sajā lete ḳhvāb ke tinke
āshiyāñ gar jalā nahīñ hotā
ham bhī rāh-e-vafā se haTte agar
tum ko apnā kahā nahīñ hotā
ishq hotā agar na duniyā meñ
zindagī meñ mazā nahīñ hotā
un ka wada wafa nahin hota
dil ki phir bhi KHafa nahin hota
lakh toDe zamana jaur-o-sitam
kis ka aaKHir KHuda nahin hota
hum saja lete KHwab ke tinke
aashiyan gar jala nahin hota
hum bhi rah-e-wafa se haTte agar
tum ko apna kaha nahin hota
ishq hota agar na duniya mein
zindagi mein maza nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.