un ke aane ka mujhe yun bhi pata ho jaega
un ke aane kā mujhe yuuñ bhī patā ho jā.egā
jab vo ā.eñge to mausam ḳhushnumā ho jā.egā
tū bhī apne vāste ab ik masīhā DhūñD le
yuuñ maraz baḌhtā gayā to lā-davā ho jā.egā
us ke kūche se salāmat lauT aa.e to nasīb
mar ga.e to āshiqī kā haq adā ho jā.egā
dil to phir bhī chāhtā hai us kī qurbat kā sharaf
jāntā hai zaḳhm jab ki phir harā ho jā.egā
apne apne maslakoñ meñ baT ga.e haiñ saare log
saath jis din chal paḌeñge rāsta ho jā.egā
un ke aane ka mujhe yun bhi pata ho jaega
jab wo aaenge to mausam KHushnuma ho jaega
tu bhi apne waste ab ek masiha DhunD le
yun maraz baDhta gaya to la-dawa ho jaega
us ke kuche se salamat lauT aae to nasib
mar gae to aashiqi ka haq ada ho jaega
dil to phir bhi chahta hai us ki qurbat ka sharaf
jaanta hai zaKHm jab ki phir hara ho jaega
apne apne maslakon mein baT gae hain sare log
sath jis din chal paDenge rasta ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.