un ke aane ki aas rahne de
un ke aane kī aas rahne de
zindagī kuchh to paas rahne de
ahd-e-rafta kā ġham rahe taaza
ik shajar be-libās rahne de
hosh aaya to TuuT jā.ūñgā
jā mujhe be-qayās rahne de
vaqt kab aa.e aur bhar jaa.e
haath meñ ye gilās rahne de
vo pilā.e mujhe magar 'mohsin'
buuñd do buuñd pyaas rahne de
un ke aane ki aas rahne de
zindagi kuchh to pas rahne de
ahd-e-rafta ka gham rahe taza
ek shajar be-libas rahne de
hosh aaya to TuT jaunga
ja mujhe be-qayas rahne de
waqt kab aae aur bhar jae
hath mein ye gilas rahne de
wo pilae mujhe magar 'mohsin'
bund do bund pyas rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.