un ke aane pe dil fida hoga
un ke aane pe dil fidā hogā
un ke jaane pe jaane kyā hogā
ek manzil hai go mirī un kī
rasta lekin judā judā hogā
un ke lab par kabhī to bhūle se
naam merā bhī aa gayā hogā
tauba kar lī bharī javānī meñ
koī mujh sā bhī pārsā hogā
merī kashtī ko nāḳhudā kā nahīñ
tund-maujoñ kā aasrā hogā
bhuul jaane kī Thaan lī hai magar
kab ḳhayāloñ se vo judā hogā
aaj maqtal meñ vaqt-e-qatl 'hazīñ'
shoḳh qātil bhī ro diyā hogā
un ke aane pe dil fida hoga
un ke jaane pe jaane kya hoga
ek manzil hai go meri un ki
rasta lekin juda juda hoga
un ke lab par kabhi to bhule se
nam mera bhi aa gaya hoga
tauba kar li bhari jawani mein
koi mujh sa bhi parsa hoga
meri kashti ko naKHuda ka nahin
tund-maujon ka aasra hoga
bhul jaane ki Than li hai magar
kab KHayalon se wo juda hoga
aaj maqtal mein waqt-e-qatl 'hazin'
shoKH qatil bhi ro diya hoga
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 134)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.