un ke aane se badal jati hai surat meri
un ke aane se badal jaatī hai sūrat merī
ek aahaT se hī baḌh jaatī hai nik.hat merī
kaise batlā.ūñ ke vo marmarī mūrat kyā hai
parda haTte hī badal jaatī hai niyyat merī
vo guzartī hai mirī ḳhvāb kī galiyoñ se bhī
vasl kī raat meñ baḌh jaatī hai ulfat merī
paikar-e-husn pe raqsāñ hai javānī us kī
chāñdnī shab meñ nikhar jaatī hai nudrat merī
jab kabhī nāznīñ kī paḌtī hai duzdīda nazar
tab 'shaġhaf' aap hī baḌh jaatī hai shohrat merī
un ke aane se badal jati hai surat meri
ek aahaT se hi baDh jati hai nikhat meri
kaise batlaun ke wo marmari murat kya hai
parda haTte hi badal jati hai niyyat meri
wo guzarti hai meri KHwab ki galiyon se bhi
wasl ki raat mein baDh jati hai ulfat meri
paikar-e-husn pe raqsan hai jawani us ki
chandni shab mein nikhar jati hai nudrat meri
jab kabhi naznin ki paDti hai duzdida nazar
tab 'shaghaf' aap hi baDh jati hai shohrat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.