un ke chehra pe nur rahta hai
un ke chehra pe nuur rahtā hai
koī dil meñ zarūr rahtā hai
maiñ to un kī razā pe chaltā huuñ
phir bhī merā qusūr rahtā hai
us ke baare meñ sochtā kyoñ hai
jab nazar se vo duur rahtā hai
kīna-parvar jise kahe duniyā
us ke dil meñ futūr rahtā hai
ġham se āzād kaun hai 'farmān'
ye bhalā kis se duur rahtā hai
un ke chehra pe nur rahta hai
koi dil mein zarur rahta hai
main to un ki raza pe chalta hun
phir bhi mera qusur rahta hai
us ke bare mein sochta kyon hai
jab nazar se wo dur rahta hai
kina-parwar jise kahe duniya
us ke dil mein futur rahta hai
gham se aazad kaun hai 'farman'
ye bhala kis se dur rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.