un ke dar pe aankh bichhae baiThe hain
un ke dar pe aañkh bichhā.e baiThe haiñ
be-matlab kī aas lagā.e baiThe haiñ
saare āshiq sar ke bal aur do-zānū
gahrī soch meñ ġhota khaa.e baiThe haiñ
mat jā un ke dar dīvāne pañkh pasār
vo yādoñ kī sham.a jalā.e baiThe haiñ
qurbānī kā shauq agar hai be-shak jā
vo ḳhanjar par dhaar lagā.e baiThe haiñ
un kī ġhazleñ un kī nazmeñ chhoḌo yaar
ustādoñ ke sher churā.e baiThe haiñ
khel shā.irī kā un ke sañg lā-hāsil
vo sar par dīvān uThā.e baiThe haiñ
nā-mumkin hai ho paa.e dīdār un kā
vo palkoñ ko aaḌ lagā.e baiThe haiñ
pyaar ke raste mat jaanā o malik 'azīm'
ranj-o-ġham sab ghaat lagā.e baiThe haiñ
un ke dar pe aankh bichhae baiThe hain
be-matlab ki aas lagae baiThe hain
sare aashiq sar ke bal aur do-zanu
gahri soch mein ghota khae baiThe hain
mat ja un ke dar diwane pankh pasar
wo yaadon ki shama jalae baiThe hain
qurbani ka shauq agar hai be-shak ja
wo KHanjar par dhaar lagae baiThe hain
un ki ghazlen un ki nazmen chhoDo yar
ustadon ke sher churae baiThe hain
khel shairi ka un ke sang la-hasil
wo sar par diwan uThae baiThe hain
na-mumkin hai ho pae didar un ka
wo palkon ko aaD lagae baiThe hain
pyar ke raste mat jaana o malik 'azim'
ranj-o-gham sab ghat lagae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.