un ke dil par mere ashkon ka asar kafi hai
un ke dil par mire ashkoñ kā asar kaafī hai
ye tasavvur hī ba-alfāz-e-digar kaafī hai
ab koī aur hijāb-e-ruḳh-e-raushan na uThā
jalva-e-shām bahut nūr-e-sahar kaafī hai
qatl karnā hai to ḳhanjar na uThā.e qātil
marne vāloñ ko mohabbat kī nazar kaafī hai
DabDabā.ī huī āñkheñ haiñ pareshāñ kājal
ab to un par bhī mohabbat kā asar kaafī hai
zahmat-e-sāġhar-o-mīnā na uThā ai saaqī
mere piine ke liye ḳhūn-e-jigar kaafī hai
un kī palkoñ pe chamakte haiñ sitāre 'raunaq'
ab to samjho mirī aahoñ meñ asar kaafī hai
un ke dil par mere ashkon ka asar kafi hai
ye tasawwur hi ba-alfaz-e-digar kafi hai
ab koi aur hijab-e-ruKH-e-raushan na uTha
jalwa-e-sham bahut nur-e-sahar kafi hai
qatl karna hai to KHanjar na uThae qatil
marne walon ko mohabbat ki nazar kafi hai
DabDabai hui aankhen hain pareshan kajal
ab to un par bhi mohabbat ka asar kafi hai
zahmat-e-saghar-o-mina na uTha ai saqi
mere pine ke liye KHun-e-jigar kafi hai
un ki palkon pe chamakte hain sitare 'raunaq'
ab to samjho meri aahon mein asar kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.