un ke gesu ki tarah apne KHayalon ki tarah
un ke gesū kī tarah apne ḳhayāloñ kī tarah
ham bikharte rahe duniyā meñ ujāloñ kī tarah
ham to iḳhlās-o-mohabbat ke sivā kuchh bhī na the
dekhtā koī hameñ dekhne vāloñ kī tarah
ham se pābandī-e-ādāb-e-mohabbat na huī
baat bhī un se agar kī hai to nāloñ kī tarah
maiñ hī ik gardish-e-daurāñ se pareshān nahīñ
saarī duniyā hai pareshāñ tire bāloñ kī tarah
maiñ kisī ġham kisī tūfān se māyūs nahīñ
zindagī maiñ ne guzārī hai jiyāloñ kī tarah
koī to baat hai ai 'shauq' chhupāte kyuuñ ho
be-sabab aañkh chhalaktī nahīñ pyāloñ kī tarah
un ke gesu ki tarah apne KHayalon ki tarah
hum bikharte rahe duniya mein ujalon ki tarah
hum to iKHlas-o-mohabbat ke siwa kuchh bhi na the
dekhta koi hamein dekhne walon ki tarah
hum se pabandi-e-adab-e-mohabbat na hui
baat bhi un se agar ki hai to nalon ki tarah
main hi ek gardish-e-dauran se pareshan nahin
sari duniya hai pareshan tere baalon ki tarah
main kisi gham kisi tufan se mayus nahin
zindagi main ne guzari hai jiyalon ki tarah
koi to baat hai ai 'shauq' chhupate kyun ho
be-sabab aankh chhalakti nahin pyalon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.