un ke ghar aana nahin jaana nahin
un ke ghar aanā nahīñ jaanā nahīñ
muddateñ guzrīñ vo yārānā nahīñ
naza.a meñ vo ye tasallī de ga.e
maut bhī aa.e to ghabrānā nahīñ
kyā rahegā ishq meñ sābit-qadam
dasht koī ġhair ne chhānā nahīñ
be-bulā.e jā.ūñ us mahfil meñ kyuuñ
gāliyāñ nāhaq mujhe khānā nahīñ
maiñ vahī huuñ jis ko kahte the 'rashīd'
tum ne ab tak mujh ko pahchānā nahīñ
un ke ghar aana nahin jaana nahin
muddaten guzrin wo yarana nahin
naza mein wo ye tasalli de gae
maut bhi aae to ghabrana nahin
kya rahega ishq mein sabit-qadam
dasht koi ghair ne chhana nahin
be-bulae jaun us mahfil mein kyun
galiyan nahaq mujhe khana nahin
main wahi hun jis ko kahte the 'rashid'
tum ne ab tak mujh ko pahchana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.